Wednesday, April 26, 2006

nameless

sataata hai, chidhaata hai
chupke se rulaata hai,
hosh nahin aagosh hai
apni hasi mein fasaata hai.

dhoondti hoon main tujhe
zindagi ki aapa-dhaapi mein,
ismein, usmein aur khud mein,
tu tho sirf muskuraata hai.

jitna tere kareeb aaoon
utni hi door jaata hai,
kabhi khwaabon mein bulaata hai
kabhi sazaa de jaata hai.

cheekh-cheekh ke thak gayi
ab ek chuppi chhaayee hai,
hasaate, rulaate, chidhaate, sataate
tu hi mujhe sikhaata hai.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home